05/09/2026
Pakistan mein diabetic eye disease andhepan ki badi wajahaat mein se ek hai — aur zyada tar mareedz ko tab pata chalta hai jab bahut der ho chuki hoti hai. Nazar mein koi dard nahi hota, koi wazeh nishani nahi hoti — is liye yeh itna khatarnak hai.
Is video mein Dr. Nauman Hashmani explain karte hain:
High blood sugar retina ki nas nas ko kaise kharab karta hai
Diabetic retinopathy mein symptoms kyun nahi aate shuru mein
Kab nuqsan permanent ho jata hai
Har diabetic mareez ko aankhon ki hifazat ke liye kya karna chahiye
Hashmanis Group of Hospitals — Full-Spectrum Eye Care